What is Suhagrat and how is it celebrated? (Suhagrat kaise manate hain)

Aaj is article mein aap janenge Suhagrat kya hota hain aur ise kaise manaya jata hain.

I have many unmarried friends like you, who would be very curious to know what exactly this Suhagrat is and how it is celebrated, what do these couples do on their wedding night? Therefore, I am writing this article in Hindi to satisfy your curiosity. So read the article completely, it will be very useful for you.

Suhagrat kya hota hain?

Suhagrat shadi ke baad aane wali first-night to refer karta hain. Shadi ki ye pehli raat naye jode ke liye bahut mahatavpurn hota hain because ye newlywed couple ke apne naye jeevan ko start karne ka samay hota hain. Suhagrat shadi ke baad aane wale first-night ko describe karta hain. Jisme new husband and wife apne naye jeevan ko enjoy karna start karte hain.

It is important to note that the concept of Suhagrat (Wedding night) is extremely rooted in traditional and cultural practices, and how it is celebrated or enjoyed can vary widely depending on individual preferences,  family background, and individual beliefs. It is a time for husband and wife to establish a physical and emotional connection.

Suhagrat kya hota hain?

Suhaagrat manane se pehle ki Rasm

Hindu religion mein 16 sanskar bataye gaye hain. Inme wedding yani ki shadi bhi ek sanskar hain. Shadi se n kewal 2 vyaktiyo ka milan hota hain balki kayi pariwar aur aatmao ka bhi millan hota hain, It is believed that es sanskar me kayi riti riwaj include hain jisme suhagrat aur usse related riwaj bhi hain. 

Chaliye jante hain aesi 5 rasme, jo dulha-dulhan apni Suhagrat se pehle nibhaya karte hain…

1. Apni Kul Devi-Devta ka Puja

Suhagrat se pehle dulha-dulhan apne ghar ke kul devi-devta ki puja karte hain aur apne Vaivahik jeevan ki khushhali ki prathna karte hain. Logo ka manna hain ki is rasm ko karne se bhagwan se kul ki prampara aur vansh ko aage le jaane ka aashirwad milta hain. 

2. Purvajo aur Pitro ka Pujan

Aesa mana jata hain ki agar kisi ke family ke mrit purvaj aur pitra naraz ho jayen to santaan sukh milne mein bahot kathinayi aati hain ya santan sukh ki prapti nahi hoti hain. Isliye couple suhagrat manane se pehle purvajo aur pitro ka puja karti hain. Jisse wo prasann ho jaye aur santaan sukh ki prapti ho.

3. Bado aur Bujurgo ka Aashirwad

Shadi ke baad nav vivahit jode ko apne se bado aur bujurgo ka ashirwad lena hota hain. Suhagrat se pehle ye rasm nibhayi jati hain. Mana jata hain ki bado-bujurgo ka aashirwad lene se vaivahik jeevan start karne ki shubhkamnaye milti hain. Jisse unka vaivahik jeevan khushiyo se bhara rahta hain. 

4. Muh dikhayi Rasm

Suhagraat se pehle dulhan ki muh dikhayi rasm manayi jaati hain. Iske dauran dulha apne dulhan ki chehra dekhne ke baad kuch uphar deta hain.

5. Dudh pilane ki Rasm

Suhagrat milk

Us raat nayi naveli dulhan apne husband ke liye saffron milk (kesar yukt dudh) lekar aati hain aur unhe pilati hain. Is rasm se related ek astrological beliefs bhi hain, dudh ka sambandh chandra aur shukra grah se hain. Chandrama Mn ka karak hain, jabki shukra prem ka karak hain. Isliye dulhan suhagrat ko ya milan ki raat ko pati ko dudh se bhara gilas deti hain, jisse tan aur man se dono ke bich pyar ka gahra sambandh bane.

Suhagraat ke raat Ladka-Ladki kya karte hain?

Jaisa ki aap soch rahe hain, Movies me romantic tarike jo diktaya jata usi tarike se real life me bhi hota hoga but actual mein aesa bilkul nahi hain. Lekin khushi usse kam bhi nahi hoti.

Kyu ki ye India hain to adhiktar arrange marriage hi hoti hain. Jisme ladka-ladki ek dusre ko pehle se nahi jaan rahe hote hain to wo sabse pehle us raat ek dusre se dher saari baatein karke ek-dusre ko samjhane ki koshish karte hain aur hansi majak kartę hain. Aur agar dono raji ho to sharirik sambandh bhi banate hain.

Ummid karta hun ye article aap ko pasand aaya hoga aur agar aap ke man me kisi bhi tarah ka koi query ho to comment mein jarur bataye.

You may also like to read

What is Blue Majik?

What Does Pcos Belly Fat Look Like?

Leave a Comment